Jab main tum logo ko ladki patana seekhata hu to iska ye matlab ye mat samjhna ki main tumhe koi aasan tareeka bata raha hu, aasan tareeka to ye hai ki kisi bhi ladki ke pass jao aur pyaar ki bhikh mangna shuru kar do, uske saamne rowo, kasme khao, waade karo … kuchh dino baad wo ya to tumhe HAAN keh degi ya NAA keh degi, Agar wo NA keh degi to kisi dusri ke pass jakar rona shuru kar dena aur agar HAAN keh degi to fir usko apne pass roker rakhne ke liye saari jindgi rote rehna.
Mera tareeka to mushkil hai . lekin jyada mazedaar, jyada adventurous hai. mera tareeka tumhe pyaar haseel karna seekhata hai mangna nahi .
Yaad rakhna ladkiyan iss khel ko jitna jyada mazedaar aur khatarnaak ho sake utna banane ki koshish karti hai, wo pyaar ko bohot dangerous level tak khelna chahti hai lekin unhe kabhi wo khiladi milta he nahi jo sach-much ladne ka jigar rakhta ho. usse to milte hai bus wo jo ya to rote rehte hai ya jo bus shadi karke ghar basana chahte hai. shikaari to usse koi milta he nahi. lekin agar usse kahi kabhi koi shikari nazar aa jaye jo pyaar bhi pura kare aur koshish bhi puri kare to wo khud he uske pichhe pad jati hai. aab ladki pichhe pad jaye to uska matlab ye nahi hota ki sab aasan ho gya hai. ladki jab kisi shikari ke pichhe pad jaye to samjhna usper bohot badi jimewaari aan padi hai. kyuki shikari se ladki high quality ka treatment mangegi. wo chahegi ki wo jitni baar bhi naraaz ho to ladka utni baar usse kisi naye tareeke se manye, ladki jitni baar bhi lade ladka uske saath naye tareeke se lade. wo har chiz , har feeling high level ki chahegi. ladki aam ladke se umeed nahi karti ki wo apne maa-baap ko chhodkar sirf aur sirf uska he hokar rahe lekin wo ek shikari se umeed karti hai ki wo usse aisa pyaar de jo aaj tak kisi ladke ne kisi ladki ko na diya ho.
Tum logo ko jankar heraani hogi ki achhe ladke achhe Lover sabit nahi hote. Aur badboy type ke ladke kisi ke saath imaandaar ho ya na ho lekin wo jab bhi kisi se pyaar karte hai – paglo ki terha he karte hai. Bus ek ladki yahi to chahti hai ki koi usse behad pyaar kare, pagalo ki terha pyaar kare, jo jab tak bhi uske saath rahe bus uska he deewana rahe. Ladkiyan badboys ko isliye pasand karti hai kyuki badboys mein wo saari qualities hoti hai jo ek achhe boyfriend mein honi chahiye, ladki sochti hai ki isme jo kamiyan hai, jo awaargi hai wo to main thik kar lungi. main isse itna pyaar dungi ki ye dusri ladkiyon ke pichhe jana band kar dega. yani badboy ( shikari ) ek aisa insaan hota hai jo 80% to pehle se he waisa hota hai jaisa ladki chahti hai bus usme 20% changes ki jaroorat hoti hai , lekin achha ladka ek aisa insaan hota hai jo 20% waisa hota hai jaisa ladki chahti hai, usme abhi 80% changes ki jaroorat hoti hai. aab zaheer si baat hai ki ladki badboy ko he chunegi. Achhe ladke ko dekhakr ladki sochti hai ki kahi iss dhila-dhala pajama mere palle na pad jaye, par uska dil na doot jaye isliye ladki uski dost ya temporary girlfriend bankar usko palti rehti hai lekin jaise he usse koi shatir shikari mil jata hai to wo apne temporary boyfriend ko chhodkar shikari ke paas pahuch jati hai. isliye agar tum log temporary boyfriend nahi banna chahte to shikari bano.
jab ladki ko ek shatir shikaari mil jata hai to wo uske saath saanti se thodi na rehna shuru kar deti hai wo to uske poore maze lutna chahti hai isliye wo uske saath jyada mushkil khel khelti hai. ye mat samjhna ki agar tum logo ne bad boy image bana li to ladkiyan tumpar toot padenge ya sab ladkiyan apne aap aakar tumhari girlfriend banna shuru kar dengi . balki bilkool iske ulta shikari ko ladki ye show karti hai ki ‘mujhe tum jaise ghatiya ladke mein koi dilchasbi nahi hai’. wo tumhe jyada pareshan karegi. wo tumhare liye jyada bada challenge bankar rahegi.
Ladki kisi playboy ko dekhte he apni saheliyon se kehti hai, ‘chhi .. !! kitna ghatiya ladka hai, main to aise bander ko kabhi muh bhi na lagau, ye kya samjhta hai hum ladkiyan bus timepass hai ?‘ lekin darasal wo uske baare mein sochti hai, mokka mile to uske pass se gujarti hai, wo shikari ko challenge karti hai ki ‘himmat hai to mujhe patakar dikha, main baki ladkiyon jaisi nahi hu, main ekdun special aur different hu. tumne bohot si ladkiyan dekhi hongi lekin wo sab sasti ladkiyan thi, ghatiya ladkiyan thi. main unn jaisi nahi hu.’ . Fir khel shuru hota hai, aankh-micholi shuru hoti hai. shikari experienced ho to samjh jata hai ki ye ladki haath to aa jayegi magar bohot jyada mehnat karni padegi.
to shikari hona aasan nahi hai, main tum logo ko koi short-cut nahi seekha raha hu. mera tareeka follow karne mein khoon-paseena ek ho jata hai lekin fir inaam bhi utna he mazedaar aur raseela milta hai. sach to ye hai ki shikari ke haarne ki chances bohot kum hote hai 100 mein se 1 %, bus.Aakhirkaar wo zaalim haseena bhi to yahi chahti hai ki akhir mein shikaari he jeet jaye aur main haar jau, wo mujhe pata le ….. bus sudhar jaye, mere baad kisi aur ke baare mein na soche . . . shikari ki jeet to pehle se tay hoti hai lekin uska raasta mushkilon bhara hota hai.

No comments:
Post a Comment